Posts

Khauf - Seen

Image
                              StoryHub Khauf - Part 2 To read the the previous part -  Khauf - Part 1 Based on real incident somewhere...  Kahaani us jagah ki sabko pata thi par na kabhi kisi ne batana chaha or na hi inn logo k pass itna time rehta tha ki ghr k aas pass kisi se baat karein. Ye to bs apna contract ka kaam pura karne aaee the or 2-3 mahine me khatam kar k jane wale the. Din bhar ghar se bahar hi rehte bas raat guzarne ki jagah hi chahie thi lekin inhe nahi pata tha ki is ghar me aisa kya hai ki koi b kirayedaar 2 din se jada yaha nahi rukta. Ho sakta hai inme se kisine kuch dekha bhi ho to kaha hosh rahega agar ye pi k aein or din bhar ki thakan k baad so jate the. Kahi agar kuch dikh bhi gaya to itni gehri thakaan, neend or nashe me kaha kuch pata chalne wala tha. Ashish ne saari baat Rahul ko keh daali thi. Pehle to wo bohot hasa but jab usne dhang se us dukaan wale shaqs ki baat ba...

Baaton ki shuruwaat

Image
                                                                       StoryHub    Wo kho gayi - Baaton ki shuruwaat Kahani shuru hone se pehle hi bata dun agar apne previous parts nahi padhe hain to, mai link mention kar de raha hu kyunki ye last part hai, thoda lamba bhi jaega. Kota ki story hai, lambi or interesting hona to banta hai. Wo kho gayi : Beginning Wo kho gayi Part-3 : Attention Wo kho gayi Part-4 : Knowing the name Do read at above mentioned links. “Zindagi k badal jane me waqt nahi lagta, kabhi kabhi waqt badal jane me puri Zindagi lag jati hai.”   To ye kissa shuru hua tha Kota me. Har saal hazaron kahiye ya fir laakhon bacche jate hain IIT or medical ki preparation k lie, chahe Kota ya fir koi or sheher. Kahi kisi k ionic or co-valent bond ba...
Image
                                                                   StoryHub                                                                    Ek Mulaqat " Zindagi k is safar mein hazoron log aapse milte hain or hazaron bichadte bhi hain. Kuch yaad reh jate hain to kuch k sath bitaye hue pal yaad reh jate hain. Har shaqsiyat ki apni ek alag pehchan hoti hai. Lekin kabhi hi aisa hota hai ki kisi ek shaqsiyat se hui bas Ek Mulaqat hi kaafi hoti hai. " Ye kahani shuru hoti hai jab mai ghumne k lie Pune se Nashik jaa raha tha. Saturday and Sunday off tha. Mere plans random hi the ki 2 din ko completely utilize kia jae. Pune se train 12 bje ki thi. Mai time...

Khauf

Image
Khauf Logo me alag alag chizo ka khauf hota hai. Normally, agar khauf ya darr bolein to ek hi chiz yaad aati hai, wo hai bhoot pishach. Aksar log jada digital or modern hone k baad sochte hain ki ye afwahein hain ya kahaniyan hoti hain logo ko darane k lie. Saaya Jo log in sab baato pe tab tak vishwaas nhi karte jab tak wo khud aisa koi incident experience nahi kar lete. Raat k lagbhag 11:30 baje the. Wo 5 log kuch samay k lie hi kaam se aee the. Unka kaam 2-3 mahine ka tha. Sabhi log ache dost the. Unhone ek chota ghar 2 room or kitchen le lia. Wo subah 8-9 baje nikal nikal jya karte or raat k 9-10 tak wapas aa jya karte the. 4-5 din baad Ashish ki tabiyat kuch down si thi to wo ghar par hi ruk gaya. Inka ghar market se kuch duri par tha. Ye chota sa kasba tha, kaam bheed wala area to pata chal jata h agar koi naya admi rehne ata h. Ashish raat k khane k lie market se sabzi lene gaya tha. Laut te waqt wo ek dukaan par cigarette k lie ruka. Gumti wale aadmi ne sawal kia - ...

Wo Kho Gayi - Part 4

Welcome If you missed previous part of wo kho gayi, click here -  https://storyyhub.blogspot.com/2020/02/wo-kho-gayi-part-2.html Click here for Part 3 -  https://storyyhub.blogspot.com/2020/02/wo-kho-gayi-part-3.html Aaj bohot hi besabri se intezar tha mujhe agli subah ka, intezar tha 9 bajne k class shuru hone ka. Main akela nahi tha jise wo corner seat occupy karni thi. Or bhi logo me jaldi thi us seat pe baithne ki. Line me lag k card check karane ki wajhse aj seat to mili magar ek seat peeche. Mann udaas sa ho chala tha. Bohot mann tha mera uske peeche baithne ka. Jaruri ni har cheez aapke mutabik ho. Ye Kota h sahab bhot si chizein banti hain or bhot si adhuri bhi reh jaati hain. Aaj usey bhi aane me der hogyi. Aate hi usne bhi side me or peeche dekha jaise kisi ko dhund rahi ho. Ek baat ki tasalli hogyi thi ki shayad kahi na kahi mera bhi kuch wajood h uske lie. Circle ka lecture chal raha tha. Usne hath utha k doubt puch lia. Doubt tangent se related tha jo kaaf...

Yaadon ka khazana - Part 1

Sabki Zindagi me Dil k kahi kisi kone me yaadon ka ek khazana chupa hota hai. Ab sab yahi soch rahe honge ki Dil ko ki kyu highlight kia hai. Baat aisi hai ki Dil ka wazan har kisi ki baat me zyada hi hota hai. . . Get updated to previous interesting stories:  https://storyyhub.blogspot.com . . Aksar logo ki zindagi me kuch aise pal ate hain jo wo kabhi bhula nahi sakte. Aisa hi ek kissa Praveen k sath hua. Praveen 55 saal ki umar me apne dosto k sath Amarnath ki yatra par Mumbai se nikal chuke the. Bade logo ki trip humari tarah unplanned or anonymous type nahi hoti. Ye ek sochi samjhi fully planned and yes successfully completed trip  hoti hai. Humare to Goa, Ladakh abi b waiting list me hain. Train k 3rd AC me 15 logo ki ticket book hoti hai. Train chalti hai from Lokmanya Tilak Terminal on the way to Udhampur. Ek or bat ki Praveen retired Army man hain. Or lagbhag jitne bhi baki k 14 log hain unme se 10 or Army se hi retired hain. This means discipled, fit o...

Wo kho gayi - Part 3

If you missed Part-2 of Wo kho gayi : Catch it Here :  https://storyyhub.blogspot.com/2020/02/wo-kho-gayi-part-2.html . . Wo Kho Gayi - Part 3 Log kehte jarur hain khwaab dekhoge tabhi pura karoge. Lekin ye zaruri nahi ki har kgwaab jo dekha jae wo pura ho. Zindagi k kuch panne adhure bhi reh jate hain. Kuch kisse ankahe kuch ansune jo khudme hi simat k reh jate hain. Use dekhte hi maano ajeeb si chubhan hui. Bala ki khoobsurat thi. Masoom sa chehra or halki si muskaan. Wo ayi or mere aage wale bench pe baith gayi. Teeno dost apas me baat kar rhi thin. Patli or dhimi si awaz me kuch bolti or hans padti. Saamne board pe pe differentiation chal raha tha or mere andar usko dekhte hi integration shuru tha. Sir kuch padha rahe the or dimag kahi or ghum raha tha. 3 ghante ki class hoti thi. Jab hum piche bench pe soya karte the to time khatam hi ni hota tha. Or aj maano time aisa khatam hua jaise school me games period. Abhi bhi mann bechain tha ki koi uska naam le. Class ...