Wo kho gayi - Part 3

If you missed Part-2 of Wo kho gayi :
Catch it Here : https://storyyhub.blogspot.com/2020/02/wo-kho-gayi-part-2.html
.
.

Wo Kho Gayi - Part 3

Log kehte jarur hain khwaab dekhoge tabhi pura karoge. Lekin ye zaruri nahi ki har kgwaab jo dekha jae wo pura ho.

Zindagi k kuch panne adhure bhi reh jate hain. Kuch kisse ankahe kuch ansune jo khudme hi simat k reh jate hain.

Use dekhte hi maano ajeeb si chubhan hui. Bala ki khoobsurat thi. Masoom sa chehra or halki si muskaan. Wo ayi or mere aage wale bench pe baith gayi. Teeno dost apas me baat kar rhi thin. Patli or dhimi si awaz me kuch bolti or hans padti.
Saamne board pe pe differentiation chal raha tha or mere andar usko dekhte hi integration shuru tha. Sir kuch padha rahe the or dimag kahi or ghum raha tha.
3 ghante ki class hoti thi. Jab hum piche bench pe soya karte the to time khatam hi ni hota tha. Or aj maano time aisa khatam hua jaise school me games period.
Abhi bhi mann bechain tha ki koi uska naam le. Class khatam hui or sab dhire dhire jaane lage. Ab intezaar tha agli subah ka. Kab class shuru ho or mai jaldi jaa k uske piche wali seat occupy karun.
Jab back bench pe the to kabhi dhyaan nahi gaya or aj itna active ki aage baith k IITian ho jaenge.
Kota stories me kuch aisi bhi stories banti hain jo IITian to nahi magar kuch bann jarur jate hain.


If you have a passion of travelling :
Get latest travelling and fooding updates at :
:
www.dreamsplanning.com
.
.
Do Subscribe for some other interesting stories at : https://storyyhub.blogspot.com


.
.
Do suggest your feedback in comment box

Comments

Popular posts from this blog

Ek Mulaqat - Nashik Meet

Baaton ki shuruwaat