Wo kho gayi - Beginning

Mai usse milna chahta tha. Ek bar fir dekhna chahta tha. Kuch baat abhi bhi thi thi kehne ko, wo lafz wo alfaz abhi bhi intezar me the uske. "Waqt behte pani ki tarah jo ek bar nikal gya wapas nahi ata."
Mujhe intezar tha uska, lekin kehte hain na samay rehte kar lena chahie warna akhiri me reh jata hai to sirf intezaar.
JEE ka exam dene k baad puri ummeed thi ki nahi hone wala hai. Bakio ki tarah hum bhi chal die Kota jo coaching mandi bhi hai. Jaise sabzi mandi, waise waha har gali nukkad pe apko ek coaching mil jaegi. Aur coaching hai to hostels to honge hi. Boys girls sab aas pass hi hain or bohot saare hain. Admission hua, padhai shuru hui.
Class me ldkio ki seat aage book rehti hai front benches pe. Jinhe padhna nahi sona hai, wo ladke ekdum last bench pe pae jate hain. Fir ate hain wo ladke jo ldkio k just piche wale bench pe baithne k lie adha ghanta pehle class pahunch jate the.
Isme se kuch hote hain padhne wale lekin kaafi rare or baki sirf ldkion ko dekhne k lie baithte the.
Yun to mai last bench pe hi baithta tha magar us din mai ldkio k just piche wali bench pe baith gaya apne dosto k sath ekdm deewar k pass. Koi waisa intention nahi tha bus dosto k kehne pe hum bhi sath ho lie. Mre aage ki 3 seat khali thi. Integration or differentiation start hone ko tha aj. Class shuru hone me abhi bhi 10 minute baki baki the class dhire dhire full ho rahi thi ki tabhi wo apne dono dosto k sath aayi.
.
.

If you have a passion of travelling
Follow - https://www.dreamsplanning.com
To know more about trekks and adventures.
.
.
Read previous post of Wo kho gayi - Wo Kho Gayi

Comments

Nidhi Singh said…
Nice 😅
Anonymous said…
NOICE
StoryHub said…
Thanks Nidhi and abhishek and Anonymous....!

Popular posts from this blog

Ek Mulaqat - Nashik Meet

Baaton ki shuruwaat