Posts

Showing posts with the label Social Media

Baaton ki shuruwaat

Image
                                                                       StoryHub    Wo kho gayi - Baaton ki shuruwaat Kahani shuru hone se pehle hi bata dun agar apne previous parts nahi padhe hain to, mai link mention kar de raha hu kyunki ye last part hai, thoda lamba bhi jaega. Kota ki story hai, lambi or interesting hona to banta hai. Wo kho gayi : Beginning Wo kho gayi Part-3 : Attention Wo kho gayi Part-4 : Knowing the name Do read at above mentioned links. “Zindagi k badal jane me waqt nahi lagta, kabhi kabhi waqt badal jane me puri Zindagi lag jati hai.”   To ye kissa shuru hua tha Kota me. Har saal hazaron kahiye ya fir laakhon bacche jate hain IIT or medical ki preparation k lie, chahe Kota ya fir koi or sheher. Kahi kisi k ionic or co-valent bond bante hain to koi purane bond ko tod k yaha naye bond banal leta hai. Hazaron ki taadad me bond bante bigadte rehte hain. Ab jaruri to nahi ki saare bond bane rahein. Lekin in jagah pe subah ka paav makkhan dene wa

Wo kho gayi - Part 3

If you missed Part-2 of Wo kho gayi : Catch it Here :  https://storyyhub.blogspot.com/2020/02/wo-kho-gayi-part-2.html . . Wo Kho Gayi - Part 3 Log kehte jarur hain khwaab dekhoge tabhi pura karoge. Lekin ye zaruri nahi ki har kgwaab jo dekha jae wo pura ho. Zindagi k kuch panne adhure bhi reh jate hain. Kuch kisse ankahe kuch ansune jo khudme hi simat k reh jate hain. Use dekhte hi maano ajeeb si chubhan hui. Bala ki khoobsurat thi. Masoom sa chehra or halki si muskaan. Wo ayi or mere aage wale bench pe baith gayi. Teeno dost apas me baat kar rhi thin. Patli or dhimi si awaz me kuch bolti or hans padti. Saamne board pe pe differentiation chal raha tha or mere andar usko dekhte hi integration shuru tha. Sir kuch padha rahe the or dimag kahi or ghum raha tha. 3 ghante ki class hoti thi. Jab hum piche bench pe soya karte the to time khatam hi ni hota tha. Or aj maano time aisa khatam hua jaise school me games period. Abhi bhi mann bechain tha ki koi uska naam le. Class khat