Posts

Showing posts from February, 2020

Yaadon ka khazana - Part 1

Sabki Zindagi me Dil k kahi kisi kone me yaadon ka ek khazana chupa hota hai. Ab sab yahi soch rahe honge ki Dil ko ki kyu highlight kia hai. Baat aisi hai ki Dil ka wazan har kisi ki baat me zyada hi hota hai. . . Get updated to previous interesting stories:  https://storyyhub.blogspot.com . . Aksar logo ki zindagi me kuch aise pal ate hain jo wo kabhi bhula nahi sakte. Aisa hi ek kissa Praveen k sath hua. Praveen 55 saal ki umar me apne dosto k sath Amarnath ki yatra par Mumbai se nikal chuke the. Bade logo ki trip humari tarah unplanned or anonymous type nahi hoti. Ye ek sochi samjhi fully planned and yes successfully completed trip  hoti hai. Humare to Goa, Ladakh abi b waiting list me hain. Train k 3rd AC me 15 logo ki ticket book hoti hai. Train chalti hai from Lokmanya Tilak Terminal on the way to Udhampur. Ek or bat ki Praveen retired Army man hain. Or lagbhag jitne bhi baki k 14 log hain unme se 10 or Army se hi retired hain. This means discipled, fit or hardwor

Wo kho gayi - Part 3

If you missed Part-2 of Wo kho gayi : Catch it Here :  https://storyyhub.blogspot.com/2020/02/wo-kho-gayi-part-2.html . . Wo Kho Gayi - Part 3 Log kehte jarur hain khwaab dekhoge tabhi pura karoge. Lekin ye zaruri nahi ki har kgwaab jo dekha jae wo pura ho. Zindagi k kuch panne adhure bhi reh jate hain. Kuch kisse ankahe kuch ansune jo khudme hi simat k reh jate hain. Use dekhte hi maano ajeeb si chubhan hui. Bala ki khoobsurat thi. Masoom sa chehra or halki si muskaan. Wo ayi or mere aage wale bench pe baith gayi. Teeno dost apas me baat kar rhi thin. Patli or dhimi si awaz me kuch bolti or hans padti. Saamne board pe pe differentiation chal raha tha or mere andar usko dekhte hi integration shuru tha. Sir kuch padha rahe the or dimag kahi or ghum raha tha. 3 ghante ki class hoti thi. Jab hum piche bench pe soya karte the to time khatam hi ni hota tha. Or aj maano time aisa khatam hua jaise school me games period. Abhi bhi mann bechain tha ki koi uska naam le. Class khat

Economical trip to Haridwar- Rishikesh- Mussoorie Part 2

Image
If you missed Part-1, get updated at: Trip to Haridwar-Rishikesh-Mussoorie Part 1 Part-2 Trip planned thi. Class me sabko pata tha hum or Abhishek  ja rahe hain. Next day pata chala ki ek banda or ready h ghumne ko, Prince.  Fir kuch friends ne kaha ghar me baat kar lein shayad chalenge. Sabne detail kaise kidhar jana hai kya kaha stay travel hoga. Ab jab baat ho Rishikesh, Dehradun or Mussoorie ki to kon nahi jana chahega. Ye sab aise naam hain ki sunte hi mindset ho jata hai waterfall, pahad wadiyan or wo pahad pe bane gol gol raste. Station pahunche sabki train ek hi thi tr shuruwat hui thi hum dono se and like others sabke plan me number of people get reduced or yaha pe number of people increase hoke 2 se hogye 15. Thanks to railways jo train 7:30 pm pe aani thi wo 3 hours late ho k schedule hui 10:30 pm.  Yaar jab aap itne friends k sath ho to seriously ye late hona khalta nahi hai. It was a month of Feb halki thand thi. Time pass ho ra tha ek dusre ki tafri kar k

Wo kho gayi - Beginning

Mai usse milna chahta tha. Ek bar fir dekhna chahta tha. Kuch baat abhi bhi thi thi kehne ko, wo lafz wo alfaz abhi bhi intezar me the uske. "Waqt behte pani ki tarah jo ek bar nikal gya wapas nahi ata." Mujhe intezar tha uska, lekin kehte hain na samay rehte kar lena chahie warna akhiri me reh jata hai to sirf intezaar. JEE ka exam dene k baad puri ummeed thi ki nahi hone wala hai. Bakio ki tarah hum bhi chal die Kota jo coaching mandi bhi hai. Jaise sabzi mandi, waise waha har gali nukkad pe apko ek coaching mil jaegi. Aur coaching hai to hostels to honge hi. Boys girls sab aas pass hi hain or bohot saare hain. Admission hua, padhai shuru hui. Class me ldkio ki seat aage book rehti hai front benches pe. Jinhe padhna nahi sona hai, wo ladke ekdum last bench pe pae jate hain. Fir ate hain wo ladke jo ldkio k just piche wale bench pe baithne k lie adha ghanta pehle class pahunch jate the. Isme se kuch hote hain padhne wale lekin kaafi rare or baki sirf ldkion ko dekhne k