Yaadon ka khazana - Part 1

Sabki Zindagi me Dil k kahi kisi kone me yaadon ka ek khazana chupa hota hai. Ab sab yahi soch rahe honge ki Dil ko ki kyu highlight kia hai. Baat aisi hai ki Dil ka wazan har kisi ki baat me zyada hi hota hai.
.
.
Get updated to previous interesting stories: https://storyyhub.blogspot.com
.
.
Aksar logo ki zindagi me kuch aise pal ate hain jo wo kabhi bhula nahi sakte. Aisa hi ek kissa Praveen k sath hua. Praveen 55 saal ki umar me apne dosto k sath Amarnath ki yatra par Mumbai se nikal chuke the. Bade logo ki trip humari tarah unplanned or anonymous type nahi hoti. Ye ek sochi samjhi fully planned and yes successfully completed trip hoti hai. Humare to Goa, Ladakh abi b waiting list me hain.
Train k 3rd AC me 15 logo ki ticket book hoti hai. Train chalti hai from Lokmanya Tilak Terminal on the way to Udhampur. Ek or bat ki Praveen retired Army man hain. Or lagbhag jitne bhi baki k 14 log hain unme se 10 or Army se hi retired hain. This means discipled, fit or hardworking. Army sunte hi fitness or discipline mind me circulate hota hai.
Nearest station to Amarnath, ya to Udhampur hai ya fir Jammu. Udhampur se bus pakad k 15 log Amarnath darshan k lie chalte hain.
.
.
Praveen kaafi friendly or interactive hain yani jaldi ghulne milne wale. Udhampur se Amarnath ki doori 147 km hai approx. Aksar news me ata hai ki yatra me khatra bana rehta hai. Log darte hain or hichkichate hain aise bich me rukna.
Jis bus se Praveen ja rahe the wo 120 km approx chal k raste me hi kisi kharabi ki wajhse ruk jati hai. Aise me gaon k bich me bus rukne se sabhi ko dar mehsus ho raha tha. Sabhi ne socha tha ki direct station se hotel chal kar, hotel me hi khana pina karenge. Jyada se jyada 3 ghante ka rasta tha. Qki as such cities ka traffic nahi hota. Bus driver help k lie apne pehchan walo ko phone karta hai. Help mangta hai or khud bhi bus se utar k check karta hai. Jaha bus kharab hui thi waha se 100-150m par hi chota sa khane pine ki jagah thi, bhook pyas bhi sabhi ko lagi thi lekin koi utar k jana ni chah raha tha. Sab isi asmanjas me the ki kya bus se utarna sahi hoga ya nahi.
.
.
Praveen ne kaha jab bhook pyas lagi hai to itna kyun sochna. Baki sabhi ne ispe aitraaz jataya or na na karte hue mana kar dia. Or Praveen ko bhi jane se rokna chaha. Praveen pehle bhi Amarnath ki yatra par 3 baar aa chuke the. Jab wo army me the to yaha 3 saal tak posting k dauran the or wo jante the yaha ka maahol. Praveen ne saaf shabdon me kaha- " Mai Chai Nashta karne jaa raha hun or jiska mann kare wo aa jana." Itna keh kar Praveen chale gaye.
Wo chai samose ki dukaan bhot badi nahi thi lekin in 15 logo k lie bhot thi. Praveen ko yaha duty kie lagbhag 20 saal hone ko the. Tabhi
 Rashid puchta hai-"Sir, kya lenge aap?" Praveen ne chai or samosa lane ko kaha. Andar Rashid k Abba, Abdul samosa bana bana rahe the. Subah ka time tha, bs Praveen hi the dukaan pe as a customer. Rashid ka ghar dukaan se laga hua piche hi tha. Thodi der me Abdul chai or samosa Rashid se bhejwate hain. Praveen ne 15 cup chai bus me bhejwane ko kaha. Rashid chai leke bus ki taraf jata hai. Abdul, dukaan se bahar ate hain or Praveen ko btate hain ki itna rupeeya hua. Thoda hichkichate or dhimi awaz me paise lete time Praveen se puchte hain ki kya aap pehle bhi yahan aa chuke hain. Jawab me Praveen ne kaha Haa me pehle bhi darshan k lie aa chuka hun. Fir Abdul ne pucha kya aap fauz me hain? Kya aap yaha fauz me tainat reh reh chuke hain. Praveen ne haa me sir hila dia. Praveen ne hairani me pucha kyu ? Apko kyu puch rahe hain? Apko kaise pata?
Abdul ne jawab dia aap shayad Shukla ji hain. Apka chehra Shukla ji se milta hai jo yaha kaafi saal pehle tainat the. Abdul ne yaad dilate hue kaha ki Janab mai Abdul hun, jo yaha saalon se chai bana raha hun. Shayad apko yaad ho jab yaha ek hadsa hua tha or aapne or apki fauz ne humari help ki thi. Praveen ko halka halka yaad ata hai. Baat ko lagbhag 20 saal hone ko hai jo thoda thoda kar k dhundhli tasveer sa yaad ata hai.
Praveen, unhi halki or dhundli yaadon me beete kal ko yaad karte hue Abdul ko pehchanne ki koshish karte hain. Praveen ko yaad ata hai Abdul or sath hi wo beeta beeta hua haadsa.
.....................................................To be continued
.
.

If you missed our previous stories, find it here: https://storyyhub.blogspot.com
.
.
If you are wanderer and still miss to find out xploring and adventurous places, search here: http:// www.dreamsplanning.com



.
.
Do not forget to mention your feedback at the comments.

Comments

Popular posts from this blog

Ek Mulaqat - Nashik Meet

Baaton ki shuruwaat