Posts

Showing posts with the label Dada Dadi

Ek Mulaqat - Yaadein

Image
                                                               StoryHub Previous Part -  Ek Mulaqat Ye Mulaqat hum dono ko yaad rehne wali thi kyunki na maine kabhi apni solo trip pe kisi ko saath aane dia tha or naa hi Ananya kabhi aise anjaan shaqs ko apna hi shehar ghumane me lagi thi aur wo bhi apna Dada Dadi ko chord k. Na maine kabhi iss tarah ki trip enjoy ki thi or na Ananya ne. Mai is chote se samay me dher saari yaadon ko samet lena chahta tha.  Kyunki zindagi me kabhi bhi kuchi bhi ek jaisa nahi rehta. Log milte hain, bichhadte hain, kuch apne se kuch paraye se, sath reh jaate hain to wo bitaye hue pal or unke sang guzzare hue wo lamhe. Yaadein hi reh jati hain aksar in haseen logo k sath. Mujhe ni pata tha ki hum dubara milenge ya nahi, koshish sab karte hain lekin uske lie bhi ek wajah honi chahie.  Sh...

Ek - Mulaqat Nashik Tour

Image
                                                                  StoryHub Ek - Mulaqat Part 1 -  Ek Mulaqat Part 2 -  Nashik Meet Ananya ki to haa ho hi chuki thi. Number bhi exchange ho chuke the or baaton ka silsila or aage tak ja chuka tha. Ab bas intezaar tha to agli subah aur Dada Dadi k haa bolne ka. Ye Mulaqat ek naye kisse ki taraf rukh kar chuki thi. Ananya ne ghar pahunch kar mujhe message kia ki mai pahunch gayi hun. Maine bhi night stay k lie hotel me room le lia tha aur use bata dia tha. Raat me Ananya free hui or mai wait bhi kar raha tha, wo online aai or humari baatein shuru hui. Bina ye jaane ki ussey agle din permission milegi ya nahi, aur hum chat pe plans bana rahe the ki subah kitne baje milna hai, kaha kaha jana hai. Hum kaise jaenge aur tarah tarah k sawaal puchne par usney kaha - "Relax kar...

Ek Mulaqat - Nashik Meet

Image
                                StoryHub                               Ek Mulaqat   Title pura likh deta to shayad is kisse ka safar yahi khatam ho jata. Adhuri information ko assume karte hue wo maza ni reh jata shayad jo kisi bhi kahaani ko end tak padhne me hai. For the Part -1, Click here:  Ek Mulaqat Ananya, shayad maine hi galti kar di thi usse aisa question puch k. Mujhe andar hi andar aisa lagg raha tha ki kahi wo ye na soche ki mera irada uspe line maarne ka hai. Mai akela ghumna jada pasand karta hu but pata nahi kyu anjaan jann k bhi aisa laga ki ye mere safarname ka hissa banegi to ye safar mere lie kuch alag hoga. Train ko Nashik pahunchne me abhi bhi kaafi time tha kyunki Kalyan station bhi abhi dur tha or fir Kalyan se Nashik ki duri or time ka mujhe pata tha kyuni mai yaha pehle bhi reh chuka hun. Train ...