StoryHub
Ek Mulaqat
" Zindagi k is safar mein hazoron log aapse milte hain or hazaron bichadte bhi hain. Kuch yaad reh jate hain to kuch k sath bitaye hue pal yaad reh jate hain. Har shaqsiyat ki apni ek alag pehchan hoti hai. Lekin kabhi hi aisa hota hai ki kisi ek shaqsiyat se hui bas Ek Mulaqat hi kaafi hoti hai. "
Ye kahani shuru hoti hai jab mai ghumne k lie Pune se Nashik jaa raha tha. Saturday and Sunday off tha. Mere plans random hi the ki 2 din ko completely utilize kia jae. Pune se train 12 bje ki thi. Mai time se half hour pehle pahuncha.
I believe in either solo travelling or you should have those friends who can wander for 24 hours without getting tired to stay at hotel.
I believe in either solo travelling or you should have those friends who can wander for 24 hours without getting tired to stay at hotel.
Mere dosto ne kaha bus se chala jaa jaldi pahunchega. Jaldi kisko hai yahan jab aap ghumne nikle ho.
Moving to story.....
Wo bhi train ka wait kar rahi thi. Trolley bag dekh k laga shayad ghar jaa rahi thi. Train ayi, Train No bhi same tha but travel route different tha. Samaj ni aa raha tha baithun ya nahi. Itne me wo uthi or train me ja k baith gyi. Train ka seat reserved thi. Maine station pe khade tea stall wale se pucha to usne bataya ki train yahi hai. Doubt ko ek baar or clear karne k lie maine dusre bande se pucha to usne bataya nahi! wo to platform no 5 par aegi. Train no se lagg raha tha ki sahi hai lekin naam se lagg raha tha ki ye nahi hai. Maine kaafi der soch k us ladki se pucha to usne bataya ki ye Pune-Nashik wali train hi h.
Hum aamne saamne baithe the, or kuch baat nahi hui. Train chalte hi kuch der me Chinchwad fir Lonavla agya. To be honest, it was too beautiful. Wo patli si track pe chuck chuck chalti hamari rail gaadi or wo wadiyan. Wo chote chote se waterfalls, greenery, patri ko dono taraf gehri si khaai, chote chote se ghar,farmhouses.
Lonavla ka wo station hi dekh k lagg raha tha ki itni bheed, kuch naye married couples the to kuch abhi start hui families, kuch friends masti karte hue to kuch girls gang wala group.
Aksar jo log Pune me work karte hain wo Lonavla ki road trip kar chuke hote hain. Meri is excitement ko dekhte hue us ladki ne puch lia - " First time?"
I said - "Yes. I am new to here. And I am Devesh."
She said - "Ananya."
Devesh - "Where are you from?"
Ananya - "Nashik."
Devesh - "Mai Nashik hi jaa raha hun."
Ananya - "Kyun? ?"
Devesh - "Ghumne. Just Sat Sun ghumne k mlie."
Mujhe pata tha mujhe kaha jana hai. So I thought Ananya wahi ki hai to routes or transportation ka idea better bata degi. Baaton me pata chala ki wo dental ki practice kar rahi thi. Jaruri nahi har koi software engineer hi ho. Uski 5 din ki chutti thi. Mummy Papa uske Pune me hi the but hometown Nashik tha or Dada Dadi wahi rehte the. Karjat station aya khaali sa, mai gaya or chai leke aya hum dono k lie. Maine usse baki chizein puchi Nashik k baare me. Fir usne pucha engg with backlog or without backlog? Or ye bolte hue hass padi. I said without. Jaruri nahi hai sbko back aee. Pure raste humne apne college life or corporate ki baatein karte hue aa rahe the. Raasta k lamba tha Nashik ka. Train Panvel se pura ghumte hue almost Mumbai cover kar k jane wali thi.
Bohot sari tunnels aai, logo ki hooting, gate pe khade hoke photos click kar rahe the. Kuch bade stations pe bheed to kuch pe sannata pasra hua tha. Pura rasta lagbhag train k dono side bade bade rocks or usme se girta hua pani, tunnels ya ya fir dur pahad k kone pe Welcome movie ki tarah bane hue ghar or farmhouses.
Wo safar kaafi haseen tha. Hichkichate hue maine Ananya se puch lia ghumne chalogi tum bhi Nashik???
Matlab tum mujhe ghuma bhi dena, meri help ho jaegi or tum bhi chutti enjoy kar logi.
Ananya ki taraf se kaafi sharp staring sa look aya and she said..??
" Zindagi ka har lamhaa yaadgar hona chahie, chahe raasta kitna bhi lamba ho "
.
.
.
.
To read horror story series, click - khauf
To read at StoryHub - StoryHub
Comments