Posts

Showing posts with the label memories
Image
                                                                                       Khwaab " Zehen me kuch khwaahishein lie thaame tera haath, ummedon ko sath lie  bunne laga ek khwaab, na pata tha kaha milegi manzil mujhe ya shyd hi pure honge ye khwaab, lamhe the mile fir kuch haseen se anokha tha safar or anokha tera saath. " We both used to work at our individual workplace. It was hectic and tiring. But, we always made a time out after the office. I started picking her up from her office, dropping at her house. Meanwhile, discussing everything we went out throughout the day. She used to call me and talk randomly like rubbish but anything until I reach home. Then chats and phone calls for few time at night. We started discussing every small things. It came into as a daily routine. I again started behaving like before. I was addicted of her presence. I was habitual of her. I knew, I was going onto the wrong direction, the same path that I never wanted to go. I promised m

Ek Mulaqat - Yaadein

Image
                                                               StoryHub Previous Part -  Ek Mulaqat Ye Mulaqat hum dono ko yaad rehne wali thi kyunki na maine kabhi apni solo trip pe kisi ko saath aane dia tha or naa hi Ananya kabhi aise anjaan shaqs ko apna hi shehar ghumane me lagi thi aur wo bhi apna Dada Dadi ko chord k. Na maine kabhi iss tarah ki trip enjoy ki thi or na Ananya ne. Mai is chote se samay me dher saari yaadon ko samet lena chahta tha.  Kyunki zindagi me kabhi bhi kuchi bhi ek jaisa nahi rehta. Log milte hain, bichhadte hain, kuch apne se kuch paraye se, sath reh jaate hain to wo bitaye hue pal or unke sang guzzare hue wo lamhe. Yaadein hi reh jati hain aksar in haseen logo k sath. Mujhe ni pata tha ki hum dubara milenge ya nahi, koshish sab karte hain lekin uske lie bhi ek wajah honi chahie.  Shaam hone lagi thi, suraj ki roshni dhimi ho chali thi or chand dheere dheere apni chandrima bikherne aa raha tha. Humne ek chote se dhabe pe ruk k chai pi. Hum bas yahi baate

Baaton ki shuruwaat

Image
                                                                       StoryHub    Wo kho gayi - Baaton ki shuruwaat Kahani shuru hone se pehle hi bata dun agar apne previous parts nahi padhe hain to, mai link mention kar de raha hu kyunki ye last part hai, thoda lamba bhi jaega. Kota ki story hai, lambi or interesting hona to banta hai. Wo kho gayi : Beginning Wo kho gayi Part-3 : Attention Wo kho gayi Part-4 : Knowing the name Do read at above mentioned links. “Zindagi k badal jane me waqt nahi lagta, kabhi kabhi waqt badal jane me puri Zindagi lag jati hai.”   To ye kissa shuru hua tha Kota me. Har saal hazaron kahiye ya fir laakhon bacche jate hain IIT or medical ki preparation k lie, chahe Kota ya fir koi or sheher. Kahi kisi k ionic or co-valent bond bante hain to koi purane bond ko tod k yaha naye bond banal leta hai. Hazaron ki taadad me bond bante bigadte rehte hain. Ab jaruri to nahi ki saare bond bane rahein. Lekin in jagah pe subah ka paav makkhan dene wa
Image
                                                                   StoryHub                                                                    Ek Mulaqat " Zindagi k is safar mein hazoron log aapse milte hain or hazaron bichadte bhi hain. Kuch yaad reh jate hain to kuch k sath bitaye hue pal yaad reh jate hain. Har shaqsiyat ki apni ek alag pehchan hoti hai. Lekin kabhi hi aisa hota hai ki kisi ek shaqsiyat se hui bas Ek Mulaqat hi kaafi hoti hai. " Ye kahani shuru hoti hai jab mai ghumne k lie Pune se Nashik jaa raha tha. Saturday and Sunday off tha. Mere plans random hi the ki 2 din ko completely utilize kia jae. Pune se train 12 bje ki thi. Mai time se half hour pehle pahuncha. I believe in either solo travelling or you should have those friends who can wander for 24 hours without getting tired to stay at hotel.  Mere dosto ne kaha bus se chala jaa jaldi pahunchega. Jaldi kisko hai yahan jab aap ghumne nikle ho.  "Raasta agar haseen hai toh, manzil tak pahunchne ki j

Wo Kho Gayi - Part 4

Welcome If you missed previous part of wo kho gayi, click here -  https://storyyhub.blogspot.com/2020/02/wo-kho-gayi-part-2.html Click here for Part 3 -  https://storyyhub.blogspot.com/2020/02/wo-kho-gayi-part-3.html Aaj bohot hi besabri se intezar tha mujhe agli subah ka, intezar tha 9 bajne k class shuru hone ka. Main akela nahi tha jise wo corner seat occupy karni thi. Or bhi logo me jaldi thi us seat pe baithne ki. Line me lag k card check karane ki wajhse aj seat to mili magar ek seat peeche. Mann udaas sa ho chala tha. Bohot mann tha mera uske peeche baithne ka. Jaruri ni har cheez aapke mutabik ho. Ye Kota h sahab bhot si chizein banti hain or bhot si adhuri bhi reh jaati hain. Aaj usey bhi aane me der hogyi. Aate hi usne bhi side me or peeche dekha jaise kisi ko dhund rahi ho. Ek baat ki tasalli hogyi thi ki shayad kahi na kahi mera bhi kuch wajood h uske lie. Circle ka lecture chal raha tha. Usne hath utha k doubt puch lia. Doubt tangent se related tha jo kaafi simple

Wo kho gayi - Part 3

If you missed Part-2 of Wo kho gayi : Catch it Here :  https://storyyhub.blogspot.com/2020/02/wo-kho-gayi-part-2.html . . Wo Kho Gayi - Part 3 Log kehte jarur hain khwaab dekhoge tabhi pura karoge. Lekin ye zaruri nahi ki har kgwaab jo dekha jae wo pura ho. Zindagi k kuch panne adhure bhi reh jate hain. Kuch kisse ankahe kuch ansune jo khudme hi simat k reh jate hain. Use dekhte hi maano ajeeb si chubhan hui. Bala ki khoobsurat thi. Masoom sa chehra or halki si muskaan. Wo ayi or mere aage wale bench pe baith gayi. Teeno dost apas me baat kar rhi thin. Patli or dhimi si awaz me kuch bolti or hans padti. Saamne board pe pe differentiation chal raha tha or mere andar usko dekhte hi integration shuru tha. Sir kuch padha rahe the or dimag kahi or ghum raha tha. 3 ghante ki class hoti thi. Jab hum piche bench pe soya karte the to time khatam hi ni hota tha. Or aj maano time aisa khatam hua jaise school me games period. Abhi bhi mann bechain tha ki koi uska naam le. Class khat