Wo Kho Gayi - Part 4

Welcome
If you missed previous part of wo kho gayi, click here - https://storyyhub.blogspot.com/2020/02/wo-kho-gayi-part-2.html
Click here for Part 3 - https://storyyhub.blogspot.com/2020/02/wo-kho-gayi-part-3.html

Aaj bohot hi besabri se intezar tha mujhe agli subah ka, intezar tha 9 bajne k class shuru hone ka. Main akela nahi tha jise wo corner seat occupy karni thi. Or bhi logo me jaldi thi us seat pe baithne ki.
Line me lag k card check karane ki wajhse aj seat to mili magar ek seat peeche. Mann udaas sa ho chala tha. Bohot mann tha mera uske peeche baithne ka. Jaruri ni har cheez aapke mutabik ho. Ye Kota h sahab bhot si chizein banti hain or bhot si adhuri bhi reh jaati hain.
Aaj usey bhi aane me der hogyi. Aate hi usne bhi side me or peeche dekha jaise kisi ko dhund rahi ho. Ek baat ki tasalli hogyi thi ki shayad kahi na kahi mera bhi kuch wajood h uske lie.
Circle ka lecture chal raha tha. Usne hath utha k doubt puch lia. Doubt tangent se related tha jo kaafi simple tha. Sir ne uska naam pucha or usne bola "Soumya". Uska naam bolte bolte hue sir ne explain karna shuru kar dia.
Pata nahi uske mann me kya tha ya maine hi overanalyse kar lia ki shyad usne ye doubt naam btane k lie hi raise kia tha. Isse pehle bhi maine kaafi try kia tha, kabhi uske group k pass khada hoke kabhi kabhi line me card checking time pe uske peeche lagg k. Shayad wo jann gayi thi ya shayad nahi. Lekin aj uska yun dhudna or doubt puchna mujhe seat na milne se jada khushi de raha tha.
Agar aap kisi k lie pareshan ho or aapko pata chale ki wo bhi aapke lie pareshan hai. Is ehsaas se hi aap adhi jung jeet lete hain.
.
.
Baat sirf yahi khatam ni hoti hai. Abhi to baatein bhi honi thi. Doston ka tease karna bhi baaki tha. Is anokhe ehsaas ko jeena bhi baki tha. ❤
For Travelling Updates:
Click Here - www.dreamsplanning.com
.
.
Do comment your feedback at : storyyhub.blogspot.com

Comments

Anonymous said…
Purani wo school ki yaade tazza hogayi
Anonymous said…
I am loving ur stories so much 😍

Popular posts from this blog

Ek Mulaqat - Nashik Meet

Baaton ki shuruwaat